Dil main ishq-e-nabi kee ho aesee lagan-Milad Raza Qadri

Dil main ishq-e-nabi kee ho aesee lagan
ruh taraptee rahe dil machalta rahe

Zindagi ka maza hey kay har saans sey
Ya Muhammad Muhammad nikalta rahe

Ya Muhammad Muhammad mein kehta raha
Noor kay motion kee laree ban gaee

Ayaton sey milata raha ayatayn
Pir jo deka to naat-e-nabi ban gaee

Jo be ansoo bahe merey mehboob kay
Sab key sab abr-e-rehmat kay cheentay banay

Chah gaee raat jab zulf lehra gaee
Jab tabasum kiya chandnee ban gaee

Yeh to maana kay jannat hey bagh-e-haseen
Khoobsoorat hey sab khuld kee sar zameen

Husn-e-jannat ko pir jab samayta gaya
Sarwar-e-ambiya kee galee ban gaee

Jab chirah tazkira un kay rukhsaar ka
Waduha par liya wal qamar keh dia

Sooraton kee tilawat be hotee rahee
Naat be ho gaee baat bee ban gaee

Sab sey saim zamanay main mazoor tha
Sab sey beykas tha beybas tha majboor tha

Un ko rehm agay merey halaat par
Meree azmat meree beybasee ban gaee