Chalo diyaar-e-nabi ki jaanib durood lab par saja saja kar - Owais Raza Qadri

Chalo diyaar-e-nabi ki jaanib durood lab par saja saja kar
Bahaar luuttain ge ham karam ki dilon ko daman bana bana kar
~ ~

Na un ke jesa sakhi hei koii na un ke jesa ghani hei koii
Wo be-nawa-o ka har jaga se nawaazte hein bula bula kar
~ ~

Mein wo nikamma hun jisski jholi main koii husn-e-amal nahiin hei
Magar wo ihsaan kar rahe hein khata-ain meri chhupa chhupa kar
~ ~

Hei unki ummat se pyaar kitna karam hei rahmat sha’aar kitna
Hamaare jurmon ko dho rahe hein wo apne aansu baha baha kar
~ ~

Yahi asaas-e-amal hei meri issi se bigrri bani hei meri
Samett-ta hun karam khuda ka nabi ki naatain suna suna kar
~ ~
Wo raahain ab tak saji huii hein dilon ka kaaba bani huii hein
Jahaan jahaan se huzur guzre hein naqsh apna jama jama kar
~ ~

Agar muqaddar ne yaawri ki agar madine gya mein Khaalid
Qadam qadam khaak uss gali ki mein chuum lun ga uttha uttha kar