Yeh sab tumhara karam hai aaqa ke baat ab tak bani hui hai-Khurshid Ahmed


Yeh sab tumhara karam hai aaqa
Koi saleeqa hai aarzoo ka, na bandagi meri bandagi hai
Yeh sab tumhara karam hai Aaqa ke baat ab tak bani hui hai

Kissi ka ehsan kyun uthaaye, kisi ko haalat kyun bataaye
Tumhain se maange ge tum hi do ge, tumhare dar se hi luu lagi hai

Ata kiya mujh ko darde-ulfat, kaha thi yeh pur khata ki qismat
Mein iss karam ke kaha tha qabil, Huzoor ki banda parwari hai

Shoor o fikro nazar ke daire, hadd ka inse barh na paaye
Na choo saqe un balandiyon ko, jaha maqame Muhammadi hai

Tajaliyon ke kafeel tum ho, murad tu ke khalil tum ho
Khuda ki roshan dalil tum ho, yeh sab tumhari hi roshni hai

Bashir kahiye nazir kahiye, unhe siraje munir kahiye
Jo sar ba sar hai kalaam-e-Rabbi, woh mere Aaqa ki zindagi hai

Aamal ki mere asas kya hai, baajuz nadamat ke paas kya hai
Rahe salamat tumhari nisbat, mera to ek aasra yehi hai

Hai Kaaba bhi marja-e-khalaiq, bohat numayan hai yeh haqaiq
Magar jo maqsood-e-aashqi hai, Huzoor ke dar ki haazri hai

Yehi hai khalid asas rehmat, yehi hai khalid bina-e-azmat
Nabi ka irfan zindagi hai, Nabi ka irfan bandagi hai

Yeh sab tumhara karam hai aaqa ke baat ab tak bani hui hai