Yeh Rifat-e-Zikar-e-Mustafa Hai,Nahi Kissi ka Maqam Aisa
Yeh Rifat-e-Zikar-e-Mustafa Hai,Nahi Kissi ka Maqam Aisa
Jo Baad Zikr-e-Khuda Hai Afzal Hai Zikar-e-Khair Ul Anam Aisa
Dar-e-Nabi Par Yeh Umar Beete Ho Mujhpe Lutf-e-Dawam Aisa
Madine Wale Kahain Maqami Ho Unke Dar Par Qayam Aisa
Labon pe Naam-e-Nabi Jab Aaya Guraiz Pan Hadson Ko Paya
Jo Taal Deta Hai Mushkilon Ko Mere Nabi Ka Hai Naam Aisa
Mujhi ko Dekho Woh Betalab hi Nawazte Ja Rahe Hain Paihum
Na Mera Koi Amal Hai Aisa Na Mera Koi Hai Kaam Aisa
Bilal Tujpar Nisar Jaaon Ke Khud Nabi Ne Tujhe Khareeda
Naseeb Ho Tu Naseeb Aisa Ghulam Ho Tu Ghulam Aisa
Hain Jitne Aqal-o-Khirad ke Daawe Sab Unki Gard-e-Safar Main Gum Hain
Koi Bhi Ab Tak Samajh Na Paya, Hai Mustafa Ka Maqam Aisa
Ke Namaz Aqsa Main Jab Parhayi Tu Ambiya-o-Rusool Yeh Bole
Ke Namaz Ho To Namaz Aisi Imam Ho To Imam Aisa
Main Khalid APne Nabi Pe Qurban Hai Jis ka Khulq-e-Azeem Qura'n
Salamti Ki Jo Hai Zamanat Woh Le ke Aaye Nizam Aisa
Yeh Rifat-e-Zikar-e-Mustafa Hai,Nahi Kissi ka Maqam Aisa
Yeh Rifat-e-Zikar-e-Mustafa Hai,Nahi Kissi ka Maqam Aisa
Jo Baad Zikr-e-Khuda Hai Afzal Hai Zikar-e-Khair Ul Anam Aisa