Mustafa Jaan-e-Rehmat Pe Laakhon Salaam-Fasih-ud-Din Soharwardi

Durood O Salam
Mustafa Jaane Rehmat Pe Laakho(N) Salaam
Sham-Aey Bazme Hidaayat Pe Laakho(N) Salaam

Jis Ke Aage Sare Sarwaraa(N) Kham Rahe
Us Sare Taaje Rif’at Pe Laakho(N) Salaam

Patli, Patli Gule Quds Ki Pattiyaa(N)
Un Labo(N) Ki Nazaakat Pe Laakho(N) Salaam

Jis Ki Mimbar Bani, Gardane Auliya
Us Qadam Ki Karaamat Pe Laakho(N) Salaam

Woh Dahan Jis Ki Har Baat, Wahi-Aey Khuda
Chash’maaey Ilmo Hikmat Pe Laakho(N) Salaam

Jis Ki Taski(N) Se Rote Huey Hans Pare
Us Tabassum Ki Aadat Pe Laakho(N) Salaam

Noor Ke Chasme Lehraaei(N), Darya Bahei(N)
Ungliyo(N) Ki Karaamat Pe Laakho(N) Salaam

Kul Jahaa(N) Milk Aur Jaw Ki Roti Ghiza
Us Shikam Ki Qana’at Pe Laakho(N) Salaam

Khaai Qur’aney Khaake Guzar Ki Qasam
Us Kafe Paa Ki Hurmat Pe Laakho(N) Salaam

Allah, Allah, Woh Bachpane Ki Phaban
Us Khuda Daad Shaukat Pe Laakho(N) Salaam

Woh Daso Jin Ko Jannat Ka Muzda Mila
Us Mubaarak Jama’at Pe Laakho(N) Salaam

Jin Ke Dushman Pe Laa’nat Hai Allah Ki
Un Sab Aih’l-E Mohabbat Pe Laakho(N) Salaam

Mere Ustaad, Maa-Baap, Aur Bhaai Bahen
Aih’l-E Waldo Asirat Pe Laakho(N) Salaam

Khalq Ke Daad Ras, Sab Ke Fariyaad Ras
Kahfe Roze Musibat Pe Laakho(N) Salaam

Sham-Aey Bazme ‘Dana Hu’ May(N) Gham Kum Ana
Sharhe Matne Huyyat Pe Laakho(N) Salaam

Jis Se Khaarey Koo(N)Wey(N) Shiraaey Jaa(N) Bane
Us Zulaaley Halaawat Pe Laakho(N) Salaam

Woh Dua, Jis Ka Joban Bahaare Qubool
Us Nasime Ijaabat Pe Laakho(N) Salaam

Jis Ka Aanchal Na Dekha, Maaho Mehr Ne
Us Ridaae Nazaahat Pe Laakho(N) Salaam

Aur Jitne Hai(N) Shehzaade, Us Shaah Ke
Un Sab Aih’l-E Makaanat Pe Laakho(N) Salaam

Assalaam Aey Sabz Gumbad Ke Maki(N)
Assalaam Aey Rehmatul Lil Aa’lameen
Ya Ilaahi, Sad’qaaey Aale Rasool
Yeh Salaame Aajzaana Ho Qabool