Silsila gunahoon ka-Mushtaq Qadri

Silsila Ah! gunahoon ka barhata jaa raha hai
Nit niya jurm her ik Aan howa jata hai

Qalb pather say bhe sakhtee mein, barha jata hai
Dil per ik khoul siyahi ka charhaa jata hai

Nafs-o-shaitaan ki her aan ita'at per dil
Aah! mail meray Allah! ho jata hai

Laoon wo ashk kahan se jo siyahi dhoein
Gandagi mein nera dil! had se barhata jaa raha hai

Aarzi afat-e-duniya say tou ghabrata hai
Ha'e! baykhouf azaaboon say howa jata hai

Ye tera jism jo bimaar hai tashweesh na kar
Ye marz teray gunahoon ko mitaa jata hai

Asal barbaad kun amraaz gunahoon kay hein
Bhai! kyoun is ko faramoosh kiya jata hai

Asal afat to hai naraazi Rab-e-Akbar
Is ko kyoun bhool kay barbaad howa jata hai

Al Madad ya Shahe Abrar Madine wale!
Qalb se khouf-e-Khuda dour howa jata hai

Aah! dolat ki hifaazat mein to sab hein koshaan
Hifze Imaan ka tasawur hi mita jata hai


Yad rakho! wohi bay aqal hai ahmak hai jo
Kasarate maal ki chahat mein mara jata hai

Apni olfat ka jaam mujhe pilaa do Saaqi
Qalb duniyaa ki mohaabat mein phansa jata hai

Imtihaan kay kahan qabil hoon mere piyaare Allah
Bay sabab bakhs day Moula! Tera kya jata hai

Aah! jati nahi hai adate ya wah gooni
Waqt-e-anmool youn barbaad howa jata hai

Aah! ansoon gham-e-duniya mein bahe jate hein
Dil bhe duniya kay ghamoon hi mein jala jata hai

Apna gham aisa Attar kar keh kalaija phat jae
Daikh kay sab kahein diwaana chala jata hai

Walwala Sunnat-e-Mehboob ka day day Maalik
Aah! fashion pay musalmaan mara jata hai

Teray diwaane isi aas pay zinda hein Shaha
Jaane kab izen Madine ka diya jata hai

Aakhari waqt hai Aajaa mere Madni aa jaa
Aah! mujrim Tera duniya say Shaha jata hai

Jalwa-e-Pak dikhaa jaa mere Madni aa jaa
Aah! mujrim Tra duniyaa se Shaha jata hai

Mujh ko ab Kalima Parha jaa meray Madni aa jaa
Aah! mujrim Tra duniyaa se Shaha jata hai

Mujh ko Seene say laga jaa mere Madni aa jaa
Aah! mujrim Tera duniyaa se Shaha jata hai

Meray isiyaan ko mitaa jaa meray Madni Aaa jaa
Aah! mujrim Tra duniyaa se Shaha jata hai

Meray Aaqa! sar-e-mehshar mera pardaa rakhna
Raaz aaiboon ka meray faash howa jata hai

Aao ab bahre Shifa'at mere Shafee! Aao
Aah! badqaar azaaboon mein giraa jata hai

Muskaara kar meri Sarkaar mujhe kah doo naa!
Aaa Tujhe Daaman-e-Rehmat mein liya jata hai

Kaash! attar say farmaein qiyamaat mein Huzoor
Lay Mubarak! keh tujhe Bakhsh diyaa jata hai.