Ham dar-e-Aaqa (S.A.W) pay sar apna jhuka letay hain
Sach bataana array duniya tera kya letay hain
Uss ko aankho pay bithaatay hain zamaane waalay
Jiss ko Mehboob (S.A.W)-e-KHUDA apna bana letay hain
Waqt ki kaif nahee hay ye karam ki baatein
Jab bhi Sarkaar (S.A.W) ki marzi ho bula letay hain
Gham kay maarou ka tabeebo na karo koi elaag
Ham ghame Ishq-e-Nabi (S.A.W) may bhi maza letay hain
Patharou tum tou ho pathar magar Aaqa (S.A.W) meray
Tum say gar chaheu tou kalma bhi parha letay hain
Jab nahi milti kahee say bhi sukooun ki daulat
Teri (S.A.W) mefil Teray (S.A.W) dewaanay saja letay hain
Ye bhi Sarkaar (S.A.W) ki rehmat hay karam hay unka
Ham jahaa jaey wahaa rang jamaa letay hain
Gumbad-e-Khazra (S.A.W) KHUDA tujh ko salaamat rakhay (Aameen)
Dekh letay hain Tujhay pyaas bujha letay hain