Maangnay ka maza hai Dar-e-Yaar per
Har talab per ataa hai Dar-e-Yaar parKis cheez ki kami hai, Mola teri gali mein
Dunya teri gali mein, Uqba teri gali mein
Jholiyaan sab ki bhari jati hain
Denay wali naza nahin aata
Bay talab mill raha hai, Dar-e-Yaar par
Jis ko jo mila, unsay milla
Bati hain konain mein neimat Rasoollah ki
Manganay walo humko to yoon chahiye
Kay mangna kisi say bhi kyon chahiye
Kon deta hai denay ko moun chahiye
Denay wala hai sacha hamara Nabi
Kon lab kholta hai Dar-e-Yaar per
Bay talab mil raha hai Dar-e-Yaar per
Ab tangiye dama pay na ja, aur bhi kuch mang
Hai aaj woh mail Data aur bhi kuch mang
Sarkar ka dar hai, dare shaha to nahin hai
Jo mang liye, mang liya, aur bhi kuch mang
Maang un say nahi, jin kay lab per nahi
Jo bhi maanga mila hai Dar-e-Yaar per
Wah kiya judo karam hai Shah-e-Bat?ha tera
Kay nahin sunta he nahin mangnay wala tera
Maang un say nahi, jin kay lab per nahi
Jo bhi maanga mila hai Dar-e-Yaar per
Baksh day ya Khuda , sun kay farmaan tera
Aaj hazir gada hai Dar-e-Yaar per
Baksh dey ya Khuda , sun key farman tera
Aaj hazir gada hai Dar-e-Yaar per
Kyun na maangay ,b Ubaid un kar dar per qaza
Jee gaya jo mara hai Dar-e-Yaar per
Mangnay Ka Maza Hei Dar e Yaar Par
Har talab per ataa hai Dar-e-Yaar par