Meri Arzoo Muhammad (SAW) Meri Justajoo Madina-Khursheed Ahmed

Na kaleem ka tasawwur Na khiyaal-e-tur-e-sinaa
meri aarzu Muhammad meri justuju Madinah

main gadaae Mustafa hun meri azmatein nah poocho
mujhe deykh kar jahannam ko bhi aa geya paseenah

mujhe dushmano nah cherho mera koi hai jahaan main
main abhi pukaar lun ga naheen dur hai Madinah

main mareez-e-Mustafa hun mujhe cherho nah tabibo
meri zindagi jo chaaho mujhe le chalo Madinah

meray dubne main baqi nah koi kasar rahi thi
kahaa "almadad Muhammad" tho ubhar geyaa safinah

siwaa is ke meray dil mein koi aarzu nahein hai
mujhe mowt bhi jo aaey tho ho saamne Madinah

kabhi aey Shakeel dil se nah mite khiyaal-e-Ahmad
isi arazu mein marna isi arazu mein jeena