Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hoon-Hooria Faheem

Mehfil-e-Milad 12 Rabi-ul-Awal

Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hu
Iss Karam Ki Badolat Barha Hu
Unkay Tukroon Say Ezaz Pa Kar
Tajdaroon Ki Saf Mein Khara Hu

Iss Karam Ko Magar Kiya Kaho Gay
Meinay Mana Mein Saab Say Bura Hoon
Jo Buroon Ko Samatay Huey Hain
Unkay Qadmoon Mein Bhi Para Hoon

Dekhnay Walo Mujhko Na Dekho
Dekhna Hai Agar To Yeh Dekho
Kisay Daman Say Wabasta Hoon Mein
Kon Wali Hai Kiska Gada Hoon

Dekhta Hoon Jab Unki Aataein
Bhool Jata Hoon Apni Khataein
Sir Nadamat Say Uthta Nahin Hai
Jab Mein Apni Taraf Dekhta Hoon

Ya Nabi Apnay Gham Ki Kahani
Keh Sakoon Ga Na Apni Zubani
Bin Kahay Hi Meri Laj Rakhlo
Mein Sisikti Hui Iltja Hoon

Shafe Mugniba Kay Karam Nay
Laj Rakhli Meray Khothay Pan Ki
Nisbatoon Ka Karam Hai Yeh Khalid
Khotha Hotay Huey Bhi Khara Hoon

Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hu
Is Karam Ki Badolat Barha Hoon
Unkay Tukroon Say Azaz Pa Kar
Tajdaroon Ki Saf Mein Khara Hu.