Teri jaliyon ke neeche, teri rehmaton ke saaye
Jise dekhni ho Jannat, woh Madina dekh aaye
Taiba ko jaanewale, tujhe deta hun duaein
Dar-e-Mustafa pe jaake, tu jahan ko bhul jaaye
Rauze ke saamne main, yeh duaein maangta tha
Meri jaan nikal to jaaye, yeh samaa badal na jaaye
Lo chala hun main lahed mein, mere Mustafa se keh do
Keh hawa teri gali ki, mujhe chodne ko aaye
Wohi ghumgusar mera, who zahur-e-yaar mera
Meri kabr par jo aaye, Naat-e-Nabi sunaye