Dar-e-Mustafa (saw) say pa're hatnay walo hova na guzaar phir kia karo gay.
Koi bhe agar na howa Do Jahan mein waseela tumhara to phir kia karo gay.
Nabi (saw) Je ki Ta'azeem say rokte ho Salaato Tasleem say rokte ho
Ye Harkat tumhare Rasool-e-Khuda (saw) ko hoe na guwara to phir kia karo gay!
Nabi (saw) Je ki misal kahnay walo Khudara zara apne halaat to dekho
Qiyamat kay Din Rahmate Mustafa (saw) ka hova na Ishaara to phir kia karo gay
"Minallahi Noor" hai Quraan mein aya magar is ka inkaar tum kar rahe hoo
Qiyaamat kay din munkiroon mein agar naam aya tumhara to phir kya karo gay
Mohabaat Nabi (saw) ki Mohabat,Khuda ki Ata'at Nabi (saw) ki Ata'at Khuda ki
Nahi mante hoo to na maano,laiken jo howa jb khisaara to phir kya karo gae.
Parhe ge Qiyaamat mein jab nafse nafse,Sadaa dain gay Wo (saw) "umati umati"
To us dam Shafey-e-Omam (saw) nay tmhain jo diyaa na Sahara to phir kya karo gae
Meray mulk-o-milaat kay nojawaano,Musalman bano,Najam(poet) ki baat maano
Qiyaamat kay din tum say raa'ze howa na Mehmoob (saw) Piyaaara,to phir kya karoo gay.