Arshe Haq he musnade rifâat Rasoolullah ki
Dekhni he Hashr me Izzat Rasoolullah ki
Qabr me lehraa-e-ge tha Hasr chashme noor ke
Jalwah farma hogi jab talâat Rasoolullah ki
Laa Wa Rabbil Arsh jisko jo mila Unse mila
Bat’ti he Kownain me neâmat Rasoolullah ki
Wo Jahannum me gaya jo Unse mustaghni huwa
Hai Khalleelullah ko haajat Rasoolullah ki
Sooraj ulthe paaw palthe chaand ishaare se ho chaak
Undhe Najdi dekhle Qudrat Rasoolullah ki
Tujhse aur Jannat se kya matlab wahabi door ho
Hum Rasoolullah ke, Jannat Rasoolullah ki
Hum bhikaari Wo Kareem, Unka Khudaa Unse fizoo
Aur naa kehna nahee Aadat Rasoolullah ki
Ahle Sunnat ka he bera paar Ashaabe Rasool
Najm he aur Naav hai Itrat Rasoolullah ki
Toot jaa-enge gunaahgaro ke fawran qaid-o-bund
Hashr ko khuljaaegi Taaqat Rasoolullah ki
Ya Rabb ik saa’at me dhul jaa-e siyaahkaro ke jurm
Josh par aajaaye ab Rehmat Rasoolullah ki
Ae Raza khud Saahibe Quraan hai mud’daahe Huzoor
Tujhse kab mumkin he phir midhat Rasoolullah ki
(Sallallahu alahi wa Sallam)